Khushiyon se bhari, ye hamare Jeevan ki Vaadi,
Aa raha hai, rang bharne, aab is mein, ek aur naya sathi.
Jis k meethe kilkari
mein, sama jayegi, hamare jeevan ki lalli,
Aa raha hai, yeh kaun naya saathi? bankar hamare pyar ki nishani.
Ankho ka tara hoga, ya
hamare ghar ki chandini,
Iss paheli mein,
dhoobe hai dono, aur kar rahe hai, bahut tayari,
Ghar k, her ek kone mein, hoga tumhari hi gunjon, ki kilkari,
Aa raha, hai yeh, kaun naya
saathi? Banane, hamare beech, ek
nayi prem kahani.
Dil mein umang hai, anhko mein tarang hai, aur hai dono mein lakho hayrani,
Ab Jane, kis pal mulakat, hogaye usse, bus dil mein hai, dono ki, yehi betabi,
Uss masum, k kadmo, k
aahat se, badal jayegi hamari bhi zindgani,
Aa raha hai, yeh kaun naya saathi? Piroone hamare beech, kushiyon k anmol
mothi.