Showing posts with label first babby. Show all posts
Showing posts with label first babby. Show all posts

Wednesday, May 9, 2012

Aa raha hai hamare beech ek naya saathi


Khushiyon se bhari, ye hamare Jeevan ki Vaadi,
Aa raha hai, rang bharne, aab is mein, ek aur  naya sathi.
Jis k meethe kilkari mein, sama jayegi, hamare jeevan ki lalli,
Aa raha hai, yeh kaun naya saathi? bankar hamare pyar ki nishani.

Ankho ka tara hoga, ya hamare ghar ki chandini,
Iss paheli mein,  dhoobe hai dono, aur kar rahe hai,  bahut tayari,
Ghar k, her ek kone mein, hoga tumhari hi gunjon, ki kilkari,
Aa raha, hai yeh, kaun naya  saathi?  Banane, hamare beech, ek nayi prem  kahani.

Dil mein umang hai, anhko mein tarang hai,  aur hai dono mein lakho hayrani,
Ab Jane, kis pal mulakat, hogaye usse, bus dil mein hai, dono ki, yehi betabi,
Uss masum,  k kadmo, k aahat se, badal jayegi hamari bhi zindgani,
Aa raha hai, yeh kaun naya saathi? Piroone hamare beech, kushiyon k anmol mothi.




Thursday, March 29, 2012

Waiting for you...............

ye khalballi hui aachanak hamare
pyare se jeevan  mein
khatkhata diya hamare ghar ka
darwza kissie nannhi se jaan ne

Ho rahi hai khushi aur badh raha
hai pyar hamare iss chote se ghar
k aangan mein, kuch dino baad
ban baithenge  hum mummy pappa
kissi nanhi  si jaan k.

Har guzartha din, uske aane ki
Paigam latha hai hamare dil mein.
gunj uthega hamare ghar ka anngan
bhi....uss nanhi k kilkari se.

Hogi kushiyon ki barish hamare pyare
se jeevan mein,
Mehak uthega har ek kona, iss nanhi jaan
k aagman se.



We are desperately  waiting to hold you
in our arms.