Friday, June 8, 2012

Kaisa hai yeh mohabbat, kaisa hai yeh Aap ka Pyaar


Jab bhi ziker hotha, hai hamare pyaar ka,
Bus us ziker ki baat, ko yuuhi taal jathe ho,
Kehthe ho ki, wo ek guzra hua pal tha,
Phir kyo? aaj bhi her pal unhi lamho mein jeethe ho.

Jab bhi, beethe, pyaar k, haseen pal, yaad kar wathe hai,
Aap badde, chup chap ho jathe ho,
Kehthe ho ki, wo bus jawaani ka junnon tha,
Phir kyo? aaj bhi hamare call per,
apna official call hi bhul jathe ho.

Jab bhi, kissi mehfil mein, baat aap k deewangi, ki hothi hai,
Aap un, baato ko, chup chap,  nazar andaz ker jathe ho,
Kehthe ho ki, wo kuch dino ka, paagal pan tha,
Phir kyo? aaj bhi, hamare liye, apni ankho mein, wo hi
paagal pan, leke chalthe ho.

Jab bhi, kabhi, dosto ne puccha hai, matlab pyaar ka,
Aap us matlab ko, kabhi samjha, nahi paathe  ho,
Kehthe ho wo, bus zindagi ka, ek roop tha,
Phir kyo? aaj bhi ussi roop ko, apni puri zindagi
hi, bana baithe ho.
  
Jab bhi, pyaar shabbd sunthe hai,
bus apni, nazar jhuka  lethe  ho,
Kehthe ho wo, bus yuhi ho gaya tha,
Phir kyo? aaj bhi, un saath guzare hui, jagaaho ko dekh ker,
yuhi machal jathe ho.

Kaisa hai yeh mohabbat, kaisa hai yeh aap ka pyaar,
Bayan karthe bhi nahi, aur kuch samjha paathe bhi nahi,
Kuch der hi sahi, per hame, aapka chupha andaz samajh, aa jatha hai,
Aur issi, aap k andaz per, hame aaj bhi, aap per b inteha pyaar aatha hai.

No comments:

Post a Comment