Friday, January 20, 2012

Sweet poem for my babby

chotu kahe ki shotu kahe
chinni kahe ki ginni kahe
abb sab naam tum pe,
lootane ko jee kartha hai
sabse accha aur pyara
naam tum per rakhne
ko mann kartha hai.

Happy kahe ki lucky kahe
bobby kahe ki bebbo kahe
abb sab naam tumhare liye,
chunke rakhne ko jee kartha hai.
kuch mithas aur sehadh jaise
pyara naam tum per rakhne ko
mann kartha hai.

Raja kahe ki rani kahe
abb har raja - rani ki
kahaniyo ki kitabh
ekatha karne ko mann
kartha hai.
tum sadeo bane raho
hamare ghar ke rajakumar
- rajkumari aisa jeevan tumhe
dene ko abb mann kartha hai.


No comments:

Post a Comment